Padhte samay distraction ko kaise bhagaye- पढ़ते समय नींद को दूर कैसे भगाएं

Padhte samay distractions ko kaise bhagaye- पढ़ते समय नींद को दूर कैसे भगाएं 

Life me distraction bhot hoti hai esliye hum es article me padhenge Padhte samay distractions ko kaise bhagaye.

Ek new born baby jb 4-5 Saal ka hota hai to uska addmission kara dia jata hai taaki vo suru se hi kuch Sikhe, kyu karate hain kyuki study sabhi ke lie must hai. Jab hum chote hote hain to bade hi pyar se study ko karte chalte hain bina kisi tension ke sab kuch achha chalta hai, but jab hum bade dhire dhire bade hote hain to kaafi saari distraction ko hume face karna padta hai or study me kaafi problem face karni padti hai. 

To aaj hum is blog me distraction ke baare me or use avoid kaise kare uske baare me detail me Baat krenge.

Padhte samay distractions ko kaise bhagaye- पढ़ते समय नींद को दूर कैसे भगाएं
Padhte samay distractions ko kaise bhagaye- पढ़ते समय नींद को दूर कैसे भगाएं 

HERE WE WILL DISCUSS ABOUT MAJOR DISTRACTION:-


1-Introduction.
2-Major distraction.
3-Measure to avoid the distraction.

INTRODUCTION:- 

Distraction ke baare me baat karne se pehle hum ye jante hain ki Distract hum ho kaise jaate hain Jab kuch issues hote hain family me relatives me neighbouring problem to aise bahot saare issues hain jiski kaarn study me concentrate nahi kar paate hain, mai apna personal  experience share karu too ye ki jab aap study karne ke lie baith te hain na tabhi kuch na kuch work aa jata hai joki bhot urgent hota hai kai baar aisa hota hai jiski vagah se hamara mn study me lag hi nahi pta hai, aj sabhi doubts clear honge why nd how ? 

MAJOR DISTRACTION:-

Major distraction are classified into five parts.
  • Mobile Phone Distraction.
  • Family Issues.
  • Relationship Issues.
  • Improper Time Management.
  • Social Media Issues.

Mobile Phone Distraction:- 

Mobile phones meri najar me Actually sahi hi hai or kai maino me achha bhi hai, lekin hamare life me gehra prabhav daalta hai maan lijiye kisi ki call aa gyi to hum apni study ko chor kar ghanto usi me lag jaate hain to is prakar mobile se distraction ho jata hai ye ek fact hai ki agar hum phone ke karib bhi baithe hain to agr ek message ki ringtone bhi vibrate ho to hamara mn bhatakta hai ye dekhne ke lie ki kya message aaya hoga, aap sab ke saath bhi aisa hua hi hoga. So, in sabhi vagah se kaafi distraction hamari life me hota hai study period me or hum apna mind study me nahi laga paate hain.

Family Issues:-

Family issue bhi kaafi kaafi gehra prabhav daalte hain hamari study par jaise fsmily issue ka matlab oy family se nahi balki relatives se bhi hai jaise parivar ka Atmosphere peace nahi hota or gharo me kaiyo prakar ki ladaiyaan or kleesh Create hota hai jiski vagah se iska siidha effect hamari study par padta hai. 

Or mindset bigad jata hai aur phir study me acche se mn nahi lag pata hai relative bhi hame kam distract nahi karte hain ye Usi wqt adhiktar aaenge jb hum study kr rhe hote hain yaa fir hamare examinations ki hum preparatiom kar rhe honge tabhi aaenge, or hamara jo study ka mindset hai puri tarah se bigad jaaega. 

Ab vo aaenge to idhar se udhar ghumne jaaenge or apko bhi unka khyal rakhna hi padega ye aisi distraction hai jise aapko face karna hi  padta hai. Hum ise ignore nahi kar sakte hain.

Relationship Issues:-

Dangerous impact in our study. Relationship hamare life me hamari study me or yaha tak ki family tak me problem create kar sakti hai. Jaise ki hum relationship me hain to usi ke bare me usi ke khayal me khoye rehte hain ki kaise or behtar bana le apni relationship ko or usi me apna sara comfort find karte hain. 

Jisse hamari study par direct impact padta hai in sabhi chizo ka or distraction create hota hai hamari study me or to or usi me fighting bhi ho jaae to or bhi jada dimaag kharab hota hai or study par concentration nahi kar pate hain hum. 

Mere hisaab se relationship issue sabse khatarnak issue hai study me distraction create hone ka jiske chalte hamara padhai me mn nahi lagta hai utna ache se jitna ki hum laga skte hain.

Improper Time Management:-

Time ka sahi tarike se manage na ho pana bhi hamare liye problem create karta hai. Hamara time idhr udhar ke chote moote kaamo me kab nikal jata hai hme pta bhi nahi chalta hai or isi prakar dhire dhire hamare samay ko study par sahi use na ho paane ki vagah se hum padhai se kaafi door hote chale jate hain, aapne bhi ye notice kia hi hoga ki kab hamara samay kabhi kabhi nikal jata hai or hme pta tak nahi chalta ki humara samay aakhir nikal kab gaya. Or ek baar agar time hame control karne lage to padhai me dobara se focus pana bahot hi muskil kaam hai, ye sab chize humne apne daily life me kabhi na kabhi experience bhi kia hoga.

Social Media Issue:-

Main impact hai jiski vagah se proper study nahi ho paati hai or distraction hota hai, social media like facebook, whatsapp, hike, instagram, snapchat, etc.kharab nahi hai lekin study par effect jaroor padta hai, Qki hum fir acche se usme ghus kar use karte hain information collect karte hain to usse jada chatting karte hain story scroll karte hai to isi prakar se social networking se bhi distraction hota hi hai. 

While, operating hum apni study par well focus kari nahi paate hain or distract hue rehte hain mn lagane ki koshish bhi karte hain to kaafi muskil ho jata hai mn lagana study me.

MEASURE TO AVOID DISTRACTION:-

Jaisa ki hum jante hain jante hain mobile phone ke benefit or side effect dono hai ye hamare use par depend karta hai ki phone distraction hai yaa fir helper, mobile phone ke distraction se bachne ke lie aap padhte waqt use apne aap se bhot door rakhiye yaa to silent mood par rakhiye, jisse ki aap ka mind comcentrate rhe aapki study me hi naaki idhar udhar bhatake. Padhte time proper distance maintain kariye phone se.
Har family me koi na koi issue jaroor hota hai even aisa kahi hota hi nahi actually ki kabhi kisi prakar ka issue na rha ho ab baat aati hai ki isse kaise bache to in family issue se bachne ke lie hamara mn shaant hona jaruri hai, or proper room ho to jada sahi hai if not then kisi shaant jagah par hi padhai kare. 

Jisse aapko distraction na ho jaha par kisi ka bhi Aavagaman na ho ekdam shanti si ho, padhai karte wqt kisi bhi prakar ke shor sharabe ko ignore kre or apna mn study me hi lagae. 
A popular blogger said

A peaceful place of study is more reliable than a luxurious place.


Sabse pehli baat agar ap student life me ho to aap relationship me na hi pde to behtar hoga ho sakta hai meri is baat se kuch log inkaar kre, lekin agr aap hain to bura nahi hai, hum apne relationship issues ko clear kar ke hi apna focus study par laga sakte hain, ab issue kaise clear honge chaliye vo bhi bta deta hun fighting ko avoid kar ke matter ko samjh kar dono compromise karte hue chalenge to fighting nahi hogi. 

Or hum apna mn study me jaroor laga paenge. Har chiz pyar se hi solve hoti hai har chiz ka solution pyar se hi mil jaaega, khushi se hi hum apna mn kisi bhi kaam me laga sakte hain study hi nahi balki koii bhi kaam ho to hum use kar skte hai. 

Relationship me bhi hme proper timetable ke sath hi puntual hona hoga tabhi hum actually me apna man laga paenge padhai me or distraction se door rehenge. 

A popular blogger said,

The more you understand in relationship, the more you focus on study.

Distraction hamare works me lage rehne se hota hai or hamara samay baet jane se hota hai lekin simple formula hai ki hume ek timetable banana cahiye jise jise strictly follow bhi karna chiye, padhai ke time me sirf padhai karo khelne ke time me sirf khelo kehne ka matlab hai har kaam samay par karo. 

Time table ko follow karte hue chalenge to to hme pta lagega ki hamara sara samay kis prakar ja rha hai or hum strictly follow krenge apne tym table ko to distraction bhi kam hoga apni life me.

The popular blogger said,

Time table brings you a proper and peaceful life. 

Social media hamare liye bahoot hi useful hai basharate hum uska use kaise kar rhe hain, mere khyal se study period me or energy gaining period me aapko thoda doori bana kar rehna cahiye, mana social media national or international platform ke baare me janne ka jariya hai lekin hum facebook, whatsapp, or isi tarah ki kai apk par time waste karne ki bajay newspaper padhkar bhi global information collect kar sakte hain. 

To es article me humne jana “How to avoid distraction while studying and focus on study” I hope apko accha laga hoga.Stay Motivated.
A popular blogger said,”

The less you social, the more you concentrate


*PROTIP :- Keep focus, keep studying, and keep improving. 





16 thoughts on “Padhte samay distraction ko kaise bhagaye- पढ़ते समय नींद को दूर कैसे भगाएं”

  1. Very good bro .
    Jaisa tumne bola ki family issues, relation issue ye dono to vastav me hamare study pe affect padta hai .
    But litterly I'll say your post is too good & I appreciate it.
    Keep doing great work by ur blog . Full support to u mere bhai 🤩
    Mahadev bless you.

    Reply
  2. I ll just loving it bro it's. Really very inspiring for me ❤️❤️❤️ I am very inspired and gone a delete tiktok it's very distracted app thanks bro for your study blog 🤘🤘🙏🙏 carry on 🔥💪❤️❤️

    Reply
  3. Thank you for your this post.☺️☺️It's very helpful for students ✌️✌️. Ye ek real situation h to mai ise students ke sath share karna chahungi😊😊 thanks sir.

    Reply

Leave a Reply to Unknown Cancel reply