पढ़ाई के लिए अपने आप को मोटिवेट कैसे करें 2022 में?

पढ़ाई के लिए अपने आप को मोटिवेट कैसे करें 2022 में?

Welcome to studybhaiya, I hope aap sab acche honge.

Jaise ki humne apne previous article me jana ki motivation kya hai, iski kya importance hai or ye kisi bhi task ya goal ko achieve karne me kitna important role play karta hai. Humne self motivation ke bare me bhi detail me jana ki ‘self motivation is the most important part of motivation.’ Self motivation ke bina sabhi type ke motivation kisi na kisi way me pointless hai.
Study hamare liye kitni jaruri hai ye baat to humne bhot acche se jaan hi li hai, study ke bina aap, hum, hamari society, humari country, pura world incomplete hai. To ab hume ye janna hai ki study karne ke lie hum apne aap ko kis tarah motivate kare or hamesha motivate rahe kyuki often hum me se almost sabhi students ka yahi question rehta hai ki “How to motivate yourself to study?”
So, ab hum ye janenge ki apni study ko effective aur consistent way me karne ke lie motivate kaise raha jaae?
Padhai ke liye apne aap ko motivate kaise kare
पढ़ाई के लिए अपने आप को मोटिवेट कैसे करें 2022 में?
Friends aise bahot se serious matter hote hain jiske bare me hum acche se jante hain par hum usme improvement nahi kar pate or ye most of the cases me hota hai to friends aaj hum us serious matter par discussion karenge or use kis tarah se sort out kiya jaae iske bare me detail me baat karenge.

*Real Facts:-

Yaha jis real fact ke bare me baat karenge uska title hai ‘Parent’s expectations. Parents ki expectations apne baccho se bahot jada hoti hai or ye baat hum kahi na kahi jante rehte hain, or usually observe bhi karte hain, par es matter ko hum bahot hi slightly deal karte hain.

Hume andar hi andar aisa lagta rehta hai i ye chiiz parents me god gifted hai jaisa chal raha hai chalne do jo hoga dekha jaaega. Yaha par sochne waali baat ye hai ki hamare parents jinhone hume janam diya hai hume itna bada kiya hai to vo humse expect nahi karenge to kisse karenge.

Ye vahi parents hain jo hume hamari jarurat ki chiiz bina kahe laakar dete hain, chahe unki condition kitni bhi painful kyu na ho. Jarurat ki chizo ko chor dijiye, vo hamari har demands ko bhi puri karte hain bas yahi sochte hue ki mere bacche ko kisi chiz ki kami na rahe.

Hamari khushi ke liye vah apni saari khusiyon ko haste haste sacrifice kar dete hain. Agar aap kabhi oberve kare to aapko maloom padega ki vo apne liye na kar ke apne baccho ke liye pehle karte hain. Chahe vo festivals ke liye kapde ho yaa birthday celebration.

Or in sab par vah apne baccho se sirf ek chiz chahte hain ki unka baccha khoob padhai kare or apni life me khoob successful bane.

Or ye bhi vah apne liye nahi balki hamare hi acche kame liye bolte hain. Par pata nahi kyu jab vo hume study karne ke liye kehte hain to hume yahi lagta hai ki inke pass koi kaam nahi h kya jab dekho studies ko lekar tana dete rehte hain!

To friends ab ye hume sochana hai ki study karni hai ya nahi karni hai? Or hum study karenge to faida kiska hoga unka ki hamara?

Agar aapko koi dikkat hai ya apka interest kisi another field me hai to aap unke sath baith kar share kariye vo aapke friend ke tarah hi hain jo help aap hmesha internet par findout karte hain use ek baar unke sath discuss kar ke dekhiye and trust me friends aapko satisfied answer 100% milega fir dekhiyega aap internet se jada unke sath time spend karna start kar denge.

“When everyone discourage, only parents support and encourage”

Aap jitna time social networking sites par spend karte hain usse aapko distraction ke alawa kuch bhi nahi milega use apne parents ke sath spend kijiye.It is the answer of your usual question ‘How to study when you have lost motivation?’

*Motivation:-

Aapke study ke liye motivate hi hona hai na or isiliye to aap yaha par visit kie hain to bas ek simple sa formula hai or vah ye hai ki aap apne parents ko efforts ki value ko samjhiye yaad rakhiye vo bhi aapke sath permanent nahi rahenge because ‘Death is the ultimate truth’.

To aap samay rehte chizo ki gambhirta or time ki value ko samjhiye kyuki ek baar ye time nikal gaya to kabhi vapas nahi aaega or aap chah kar bhi kuch nahi kar paenge.
Maine ek jagah padha tha ki agar aap kuch nahi jante, padhai kaise karna hai?, kya karna hai? Naam tak likhna nahi aata.

NO PROBLEM, agar aap aaj padhna suru karenge man lagakar or consistency ke sath ke sath to vo time door nahi jab aap us field me expert ho jayenge. To suruat aaj se nahi karni balki abhi or isi waqt se karni hai because ‘Tomorrow never comes’. Jo karna hai aaj hi karna hai. Don’t give excuses because “excuses always harms”.

Hamare pass kisi kaam ko na karne ke to laakho bahane hote hain par kisi kaam ko karne ke liye ek hi solid reason kaafi hai. Decide that reason yourself, avoid excuses, recognize your strength.

“Time takes no time to change.”

*5 Study Tips:-

*Do study when your mind is completely prepare for it. Don’t make unusual burden on your mind as it has no any benefit rather it create more difficulties for you to concentrate
*Make sure ki study karte time kisi bhi prakar ka distraction na ho.
*Time management ko apne time table me sincerely include kare or sath hi sath utilize kare.
*Study regular basis par kare. Daily kuch na kuch topics cover karte chale. Study me gaps ko avoid kare kyuki ye consistency par bahot bura effect dalta hai.Staying motivated while studying.
*Apne weak subjects pr jyada focus kre kyuki strong subjects ko ap slightly le sakte h but weak subjects ko bilkul bhi ignore na kare.Unpr hardwork krke command pane ki koshish kre.
To es article me humne jana ki “How to motivate yourself to study”.I hope apko accha laga hoga.

Protip:-  The real motivation comes from the inner soul.

Stay motivated! Stay healthy!
Best of luck..!

Kya Aapne Ese Padha?

  1. Padhai Ko Sahi Tareeke Se Kaise Kare in 2022?
  2. Online Padhai Kaise Kare for Beginners?
  3. Online Padhai Karte Samay Na Kare Ye 10 Galtiya
  4. Padhai Humare Liye Kyu Jaruri In Hindi

11 thoughts on “पढ़ाई के लिए अपने आप को मोटिवेट कैसे करें 2022 में?”

Leave a Reply to NAMAN SHUKLA Cancel reply