Padhai hamare liye kyu jaruri hai? पढ़ाई हमारे लिए क्यों जरूरी है?

पढ़ाई हमारे लिए क्यों जरूरी है? Padhai hamare liye kyu jaruri hai in hindi:-

Hello friends! es article me hum janenge padhai kyu jaruri hai / पढ़ाई हमारे लिए क्यों जरूरी है?.

Hamare parents hume study karne ke liye hamesha kehte rehte hain, padhna likhna kyun zaroori hai, education kyu jaruri hai ? kya hoga study karne se or kya mil jaaega isse.
Ek baat meri apne dil or dimag me baitha lijiye bina education ke yaa bina padhai kiye life me achievement nahi milti hai, or kabhi kisi ko bhi turant kuch haasil nahi hota or na hi success milti hai. Hum saalo mehnat karte hain class 1st se lemar class12th tak padhai karte hain.

But real education aapki class 12th se suru hi hoti hai. Apne dekha hoga kuch bacche padhai me hi mnn lagate hain jante hain kyuki vo uski importance ko samjhte hain.

Apko pata hai unki life hi kaafi hard hoti hai jb se vo suru krte hain mtlb jb se vo janam lete hain, kaiyo prakar ki takleef face karte hain or usi ke behalf par unka character built hota hai.

Yaha tak ki unki daily jaruratoon ko pura karne ke liye bhi unke pass paise nahi hote hain or vo jaruratoon ko pura nahi kar paate hain. Or isi ke aadhar par takleef jhelte jhelte usko mind me rakh kar apni lifestyle ko badalne ke lie Nirantar prayas karte hain. Or sirf study par hi focus karte hain.

Padhai hamare liye kyu jaruri hai
Padhai hamare liye kyu jaruri hai 

Education kyu jaruri hai:-

Aapko janana hai na ki education kyu jaruri hai, padhna likhna kyu jaruri hai to ek choti si baat kahunga bina education ke yaa bina knowledge ke aap life me kabhi success nahi ho sakte hain. Padhai ka mahatva bahut jyada hai har koi study ko hi prefer karta hai ki baccha padhai karo, beta Padhai kaisi chal rhi hai, mtlb har koi padhai ko hi first priority deta hai.
Hum study karte hain tab jaake knowledge badhti hai, knowledge badhti hai tab jaake hum kamayab hote hain, kamayab hote hain tab jaakr hum apni life me kuch kar paate hain, Or jb hum kuch karte hain tab relatives yaa kisi ki nazar me upar uthte hain.
Aapne ek baat hmesha notice kari hogi koi illeterate person IAS nahi banta yaa IIT top nahi karta kyuki ye possible hi nahi hai ki insan bina hard work kie bina study kie life me success nahi ho skte hain. Study is the base of our success so keep focus in it. Utni hi jaruri hai jitna aapka saans lena hai.
Ap khana khate hain,
Sote hain,
Khelte hain,
Usi prakat study bhi kariye, life me agar kuch bada karna hai, kuch ukhaadna hai to shuruat yahi se kariye, daily kuch naya karne ki koshish kariye, kuch naya sikhiye, khoob padho khoob badho our tarakki karo, mehnat karo ek din kamayab banne se aapko koi nahi rook sakta.
SO, es article me humne jana study karna kyu jaruri hai education or padhai ka kya mahatva haiI hope apko humara yha article padhai humare liye kyu jaroori hai/ पढ़ाई हमारे लिए क्यों जरूरी है accha laga hoga. Accha laga ho to ese share jaroor kare aur humare padhai se related aur blogs ko bhi jaroor padhe. Esse apko jaroor hi help milegi.

  1. Padhai ke liye apne apko motivate kaise kare?
  2. Padhai me man kaise lagaye?
  3. Yaad kaise kare? Padha hua yaad kaise rakhe?
  4. Padhte samay distraction ko kaise bhagaye?

8 thoughts on “Padhai hamare liye kyu jaruri hai? पढ़ाई हमारे लिए क्यों जरूरी है?”

  1. I really appreciate your thoughts my brother. I thik study is most imp thing of our life coz Without studying we have nothing. & U doing grt work bro please keep it up

    Reply

Leave a Reply to NAMAN SHUKLA Cancel reply