Online padhai kaise kare for beginners in hindi

Online padhai kaise kare for beginners in hindi:-

Welcome to STUDY BHAIYA 
Hamare man me aksar ye saval aata hain ki “Online padhai kaise kare”.Hum sabhi logo ko pata hai ki padhai hamare liye kitni jaruri hai or hum din bhar padhai me lage bhi rehte hain. Kabhi You tube se padhte hain to kabhi apni kitabon se padhte hai, Schoolo se, Coaching sansthano se aksar har jagaho se hamare pass study material available rehte hain. Kabhi PDF ke form me to kabhi hamare khud banae gaye notes ke form me. Aaj ka yug bahot hi digital ho chuka hai. Har koi apne smartphone yaa computer se padhna jada pasand kar raha hai. To aaj hum es article me janenge ki sahi tarike se padhai “Online padhai kaise kare? Or online padhai karne ke 8 behtareen tips.”

Online padhai kaise kare for beginners
Online padhai kaise kare for beginners

*Online padhai kaise kare?

Aaj hamare samne online itne saare विकल्प ho gaye hain ki humesha ek hi baat yaad aati hain ki Online padhai kaise kare”? To iske liye ek baat sabse महत्वपूर्ण hai ki hame particular pata hona chahiye ki hume kya padhana hai ? Aksar hota yah hai ki hume sahi maaene me pata hi nahi hota hai ki hume kya padhna hai. Jiske chalte hum pin online idhar se udhar, ek se dusre video ki taraf भटकते rehte hain or ant me hume निराशा hi haath lagti hai. To sabse jaruri hain ki pehle aap तय kijiye ki aapko kya padhna hai? Or kitne samay me padhna hai? Eske baad hi aap online padhai kaise kare es question ka hal nikaal sakte hain.

Online padhai kaha se kare?

Online padhai kaha se kare es kelie hamare pass sahi platform ka hona bahot jaruri hai. Sahi platform ke na hone se hume sahi विषय-वस्तु  nahi mil paati jis se ki hamare concept clear hone me परेशानियाँ aati hain. To es pareshani se bachne ke liye aap koi ek निश्चित platform ko choose kare. Platform choose karte samay es baat ka dhyan avashya rakkhen ki vaha padhae jaane ke tarike se hume chize samjh me aae. Or samjhne me aasani ho. Kisi dikkat ke aane par hum vaha free hokr apni queries puuch sake. Yeh platform शुल्क or नि: शुल्क dono ho sakte hain. To aap apni आवश्यकता anusar hi iska chayan kare. Chayan karne ke baad ek hi platform se padhai kare, baar baar platform na badle isse aapko padhai karne me kathinaai ka samna karna pad sakta hai.
Aap sarkar dwara banae gaye “svayam portal” ka use kar ke online padhai behtar tarike se kar sakte hain. Ap unacademy learning platform ko bhi proper online padhai ke liye prefer kar sakte hain.

Online padhai karne ke 8  बेहतरीन tips-

1 अपना लक्ष्य निश्चित करे:- 

“Online padhai kaise kare for beginners” eske liye sabse jroori hain ki aap apna goal decide kare. Kabhi kabhi hum bina kisi lakshya ke online padhai karte chale jaate hain. Yeh tareeka ekdum galat hai. Online padhai shuru karne ke pehle hi aap apna laksh nirdharit kar len or uske baad he padhai shuru kare.

2 शांत जगह का चुनाओ करे :-

Online padhai karte samay es baat ka avashya dhyan de ki aapka esthaan Shanti purn ho aap kisi khali kamre me hi reh kar padhai Karen.

निश्चित समय पर पढे:-

Online padhai karne ke samay ko nischit kare. Rozana usi samay par padhai kare. Padhai ko bilkul bhi badle nahi isse concentration develop nahi ho pata hai. Or samay ka dhyan jaroor rakkhe.

4 पूर्णतः समर्पण के साथ पढे:-

Padhai karte samay पूर्णतः समर्पित rahe. Man mo एकाग्रचित karke hi padhai kare. Jitni der online study kare apna pura dhyan usi me lagae. Aas paas ki chizo par dhyan na dekar apne subject ki गम्भीरता par dhyan lagae.

5 नोटस बनाए:-

Online padhai ke daoran sabhi padhae gaye subjects ka proper notes jaroor banae, yeh na sochiye ki abhi padh lete hain notes kal bana lenge सदैव yaad rakkhe ki kal kabhi nahi aata jo bhi karna hai esi pal karna hai or pure उत्साह or lagan ke sath karna hai.

6 रिवीजन अवश्य करे:-

रिवीजन padhai ka sabse महत्वपूर्ण अंग hota hai. Ese andekha ekdum na kre. Padhai ke baad रिवीजन  karna utna hi jaruri hai jitna पेड़ lagane ke baad usko पानी dena. 
Isliye ise apni समय सारिणी me नियमित roop se shamil kare. Jo bhi padhe jitna bhi padhe man lagakar padhe or uska revision jaroor kare. Revision aapko chize lambe samay tak yaad rakhne me महत्वपूर्ण yogdan deta hai.

7 सोशल मीडिया का इस्तेमाल कम के कम करे:-

Ek student ke lie bahot jaruri hai ki uska mn padhai me lage. Social- media ka estemal aajkal bahoot badh gaya hai or isse students ki एकाग्रता bahot प्रभावित hoti hai isliye online padhai karte samay social media ka estemal na kare. Padhai me mn lagae or puri lagan ke saath padhe.

8 सदैव सकारत्मक रहे:-

Aap online padhai kare yaa kisi bhi anya kaamo ko kare to sakaratmakta ke saath kare. Sakaratmakta aapki उर्जा ko badhati hai or safal hone me अमुल्य योगदान deti hai.

Conclusion:

Online padhayi karna bhot hi accha tarika hai. Iske estemal se hum bahot acchi chize bahot hi aasani se ghar baithe siikh sakte hain. Kahi jaane me lagne wala samay bhi online padhai se aasani se bach jata hai. Es विकल्प ka istemal kar hum apni padhai ko प्रभावी  ढंग se kar sakte hain aur apne भविष्य ko aur behtar bana sakte hain.
 
सलाह:- पढ़ाई ऑफलाईन हो चाहे ऑनलाइन ,घर में हो चाहे विद्यालय लगन के साथ होनी चाहिये ।

To humne es article me jana Online Padhai kaise kare aur Online Padhai  kaise kare eske liye  8 behatreen tips”.

आशा है कि अपको अच्छे  लगे होंगे ।
इन article को भी पढे:-

Aage aane vale article me hum online padhai se  सम्बंधित or तथ्यो ko janenge.
Keep Visiting.
Shukriya.

2 thoughts on “Online padhai kaise kare for beginners in hindi”

Leave a Comment